F A M O U S G H A Z A L S - - - - - - - - - - - - - - - - - - Kabhi Kabhi Mere Dil Main Yeh Khayaal Aataaa Hai Ke Zindagi Teri Zulfon Ke Naram Chaon Main Guzar Na Paati To Shadaab Ho Bhi Sakti Thi Yeh Teergee Jo Meri Zeesth Ka Muqaddar Hai Teri Nazar Ki Shu'aun Main Kho Bhi Sakti Thi Magar Yeh Ho Na Sakaa, Aur Ab Yeh Aalam hai Keh Tu Nahi, Tera Ghum, Teri Justaju Bhi Nahi Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarah Zindagi Jaise Isay kisi ke Sahaaray Ki Aarzoo Bhi Nahi Na Koi Yaadain, Na Manzil, Na Roshni Ka Surag Bhatak Rahi Hay Khyalon Main Zindagi Meri Inhee Khyalon Main Reh Jaaon Ga Kabhi Kho Kar Main Jantaa Houn Meri Hum-Nafas Magar Yu Heen Kabhi Kabhi Mere Dil Main Yeh Khayaal Aataaa Hai Main Aur Meri Tanhaiyan - Aksar Yeh Baatain Karte Hain Tum hoti to kaisa hota, Tum yeh kahti, tum woh kahti, Tum is baat pe hairaaan hoti, tum us baat pe kitna hasti, Tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota, Main aur meri tanhaiyan - aksar yeh baatain karte hain Yeh raat hai ya tumhari zulfain khuli hui hain, Hai chandni ya tumhari nazron se meri raatain dhuli hui hain Yeh chaand hai ya tumhara kangan, sitarain hain ya tumhara aanchal, Hawa ka jhoka hai ya tumhare badan ki khushboo, Yeh pattiyon ki hai sarsarahut, ke tumne chupke se kuch kaha hai, Yeh sonchta hoon main kab se gum sum - Ke jab ke mujhko yeh bhi khabar hai Ke tum nahi ho, kaheen nahi ho,......magar yeh dil hai ke kah raha hai Ke tum yaheen ho, yaheen kaheen ho ! Majbooriyon ki haalat, idhar bhi hai, udhar bhi, Tanhaye ki ek raat idhar bhi hai udhar bhi, Kahne ko bohot kuch hai magar kis se kahe hum Kab tak yoon hi khamosh rahain aur sahe hum Dil kahta hai duniya ki har ek rasam uthaa dain Diwar jo hum dono main hai aaj giraa dain Kya dil main sulagte rahain, logon ko bata dain, Haan hum ko Mohabbat hai - Mohabbat hai - Mohabbat Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi...... Sab ko bata dain......... Ghar Se Nikalte Hi....Kuch Door Chalte Hi............. Raste main hai uska ghar, Kal subah dekha to, baal banati woh, khirki main aaaye nazar ghar se nikalte hi.......... Masoom chehra, nichi nigahain....bholi si ladki, bholi adaayain Na apsara hai, na woh pari hai Lekin yeh uski.....jaadugari hai Diwana kar de woh, is rang bhar de woh, sharma ke dekhe jidhar ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi, raste main hai uska ghar....... Karta hoon uske, ghar ke main phere Hansne lage hain, ab dost mere.... such kah raha hoon, uski kasam hai..... main phir bhi khush hoon, bus ek gham hai jise pyar karta hoon, main jis pe marta hoon, Usi ko nahi hai khabar ghar se nikalte hi...... Ladki hai jaise, koi paheli.....kal jo mili mujh ko uski saheli, Maine kaha usko, jaa ke yeh kahna, Atcha nahi hai, yoon door rahna, Kabhi shaam nikle woh, ghar se tahalne ko, milna jo chahe agar.... Ghar se nikalte hi, kuch door chalte hi......raste main hai uska ghar...... Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho Dariya ka saahil, pooray chaand ki raat ho,.... aur tum aaao, Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho Pariyon ki mahfil, koyeee tumhari baaat ho,.....aur tum aaao, Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho Yeh naram mulaim thandi hawayain, Jub ghar se tumhare guzrain, tumhari khushboo churayain, mere ghar le aayain, Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho Soooni her mahfil ho, koi na mere saath ho,.....aur tum aaao, Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho Yeh baadal aise toot ke barse, mere dil ki tarah tumhara dil bhi tarse tum niklo udhar se Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho Tanhayeee ho, dil ho, ......boondain ho, barsaat ho....aur tum aaao, Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho Dariya ka sahil, poore chaand ki raat ho,.....aur tum aao, Kabhi yoon bhi to ho, Kabhi yoon bhi to ho Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon Main Mile Jis Tarah Sukhay Hue Patte Kitabon Main Mile Dhoond Ujray Hue Logon Main Wafa Ke Moti Ye Khazane Tujhe Mumkin Hai Kharabon Main Mile Ghum-e-Duniya Bhi Ghum-e-yaar Main Shamil Kar Loon Nasha Barhta Hai Sharabain Jo Sharabon Main Mile Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa Dono Insaan Hain To Kyon Hijabon Main Mile Aaj Hum Dar Ye Khainchainge Jin Baton Par Kya Ajub Kal Woh Zamane Ko Nasibon Main Mile Ab Na Woh Hain, Na Woh Tu Hai, Na Woh Maze Hain Faraz Jaise Do Shakhs Tamanna Ke Sailabon Main Mile Ab Ke Hum Bitchre To Shayad Kabhi Khawbon Main Mile ye tera ghar ye mera ghar, kisi ko dekhana ho gar ye teraa ghar ye meraa ghar kisii ko dekhanaa ho agar to pahale aake maa.Ng le merii nazar terii nazar na badalo.n kii chaa.Nv me.n na chaa.Ndanii ke gaa.Nv me.n .... na phuul jaise raaste bane hai.nis ke vaaste magar ye ghar ajiib hai zamiin ke qariibhai ye ii.NT pattharo.n kaa ghar hamaarii hasarato.n kaa ghar jo chaa.Ndanii nahii.n to kyaa ye roshanii hai pyaar kii dilo.n ke phuul khil gaye to fikr kyaa bahaar kii hamaare ghar naa aayegii kabhii Khushii udhaar kii hamaarii raahato.n kaa ghar hamaarii chaahato.n kaa ghar yahaa.N mahak vafaao.n kii hai qah-qaho.n ka ara.ng hai ye ghar tumhaaraa Khvaab hai ye ghar merii uma.ng hai na aarazuu pe qaid hai na hausale par ja.ng hai hamaare hausale kaa ghar hamaarii himmato.n kaa ghar
|